Roshan Mustaqbil – CM Punjab Asaan Card 2025
CM Punjab Asaan Card Program 2025 ek naya welfare initiative hai jo Chief Minister Punjab Maryam Nawaz ne introduce kiya hai. Is program ka maqsad ghareeb aur middle-class families ko financial aur social support dena hai. Is card ke zariye eligible families ko education, health aur daily needs ke liye direct benefits milenge.
Eligibility Criteria
- Applicant Punjab ka permanent resident ho.
- CNIC valid aur computerized hona chahiye.
- Monthly income low ya middle-class category me aati ho.
- Family Government ke kisi aur major financial aid program ka part na ho.
- Only ek member per family apply kar sakta hai.
How to Apply for CM Punjab Asaan Card 2025
- Punjab Government ki visit karein.
- Asaan Card Program section par click karein.
- Online Application Form fill karein (CNIC, Name, Address, Income details).
- Required documents (CNIC copy, income proof) upload karein.
- Form submit karne ke baad confirmation message receive hoga.
- Verification ke baad Asaan Card applicant ke registered address par deliver hoga.
Asaan Karobar Card — Frequently Asked Questions (FAQ)
Q1: Asaan Karobar Card kya hai?
Answer: Ye Punjab Government ka program hai jo chhote karobar / entrepreneurs ko business finance provide karta hai.
Q2: Kaun apply kar sakta hai?
Answer: Punjab ka permanent resident, CNIC holder, 21–55 saal ke darmiyan.
Q3: Loan ki duration kitni hai?
Answer: Maximum 3 saal (36 months) ki tenure hoti hai.
Q4: Kya grace period milta hai?
Answer: Haan — pehle 3 months ka grace period.
Q5: Charges / fees kitni hain?
Answer: Ek fixed annual fee Rs. 25,000 lagti hai.
Q6: Security / collateral ki zaroorat hai?
Answer: Mostly unsecured, sirf business proof required.
Q7: Insurance cover milta hai?
Answer: Haan, borrower ke liye insurance cover hota hai.
Q8: Card limit kitni ho sakti hai?
Answer: Up to PKR 10 Lakh tak limit available hai.
Comments
Post a Comment